Nagin Dialogue Download

Dil ke kuch taar aaise hote hai jinse woh khabaren bhi mil jaati hai ... joh bheji nahi jaati
Nagin dushman ko maarne ke liye kabhi kabhi insaan ka roop dharan kar leti hai ... lekin tumhare jaisa insaan ki shakal mein naag aaj tak pehda nahi hua
Pati patni ka rishta faulad se zyada mazboot hota hai ... joh lakhon hathodon ke zor se bhi toda nahi ja sakta ... aur kabhi kabhi ek phool se zyada nazuk hota hai ... joh saans ki garmi se bhi ulaz-julaz jaye
Yeh aankhen kisi aur ko dikhana ... varna tumhare is chaupte se yeh do button nikalkar apne kurte mein fit kar doonga
Nastik ko aastik banana uparwaale ka bayen haath ka khel hai
Duniya mein sabse buri aag badle ki aag hoti hai ... chahe woh kisi insaan mein ho ya janwar mein
Shaadi ek yagya hota hai ... jis mein aadmi ko sukh paane ke liye apne ahankar ki aahuti deni padti hai
Mard do zaat ke hote hai ... ek joh bewakoof pehda hote hai ... doosre joh bewakoof banaye jaate hai
Maika ladki ke liye ek sarai jaisa hota hai ... jahan aadmi raat bhar aaram toh kar sakta hai ... lekin zindagi bhar ka thikana nahi kar sakta
Aankhon hi aankhon mein ishaare ho gaye ... hum tumhare aur tum hamare ho gaye
Dharam ki aag se dil ke chirag jalte hai ... bhatakne waale issi roshni mein jalte hai
Nagin ka nasha sharaab aur aurat ke nashe se zyada hota hai
Bhagyawan wohi hoti hai joh do kandhon pe savaar apne babul ke ghar se jaati hai ... aur char kandhon pe savaar apne dulha ke ghar se nikalti hai

No comments:

Post a Comment