Nachnewale Gaanewale Dialogue Download

Shayaron ki mehfil mein jaate hai toh shayar ho jaate hai ... aur koi apne se tagda mil jaye toh kayar ho jaate hai ... zindagi ki gadi mein fit kardo toh tyre ho jaate hai ... aur agar bandook mein fit kardo toh fire ho jaate hai
Bansuri ke chhed ungliyon se chupakar jaise sur nikalte hai ... apne zakhmon ko muskurahat se chupakar duniya mein khushi baatna shuru ki jiye
Maine is duniya mein bahut saare logon ko daulat aa jaane ke baad apna ghar badalte dekha hai, halaat badalte dekha hai, kapde badalte dekha hai ... maa baap badalte kisi ko nahi dekha hai
Is duniya mein jis kisi ko tarakki ki seedi se upar chadna hota hai na ... usse na anpadh jahil hona chahiye ... aur na hi anpadh aur jahilon se koi rishta rakhna chahiye
Daulat se tu mahal khareed sakta hai, gaadiyan khareed sakta hai, chaaplusi karne waale dost khareed sakta hai ... magar gaaliyon mein duayen dene waala yeh baap nahi khareed sakta
Abhe bewakoofi ke laltern se nikalne waale andhere
Sitaron se aage jahaan aur bhi hai ... abhi ishq ke imtihan aur bhi hai
Agar bete ka kadh baap se ooncha ho jaaye toh beta apne baap ka baap nahi hota hai ... woh saala bete ka beta hi hota hai

No comments:

Post a Comment