Laawaris Dialogue Download
Aulad na ho dukh hota hai ... aulad ho aur marr jaye bahut dukh hota hai ... lekin aulad ho aur nalayak, toh bardaash nahi hota
Kabhi kabhi insaan apne paap ka ek chota sa paudha chhodkar bhaag jaata hai ... lekin kismat us paudhe ko ek pedh banakar uske samne khada kar deti hai
Apne kiye ki sazaa toh har insaan ko bhugatni padti hai ... lekin apna jurm kubool karne se, uski sazaa jhelna aasaan ho jaati hai
Hum toh un logon mein se hai joh is duniya mein sirf shareer lekar pehda huye hai ... hamari na toh taqdeer likhi jaati hai ... na hi aasman mein hamare muqaddar ke sitare hote hai
Shareer par kodhe barsane se aatma ko koi farak nahi padta
Apun kutte ki woh dum hai joh barah baras nalli mein daalke rakho ... nalli tedhi ho jayegi ... apun seedha nahi hoga
Aaj ya toh insaaf hoga ... ya mamla saaf hoga
Apun jiske darwaze pe paon rakhta hai na ... uske aakha department ka darwaza band ho jaata hai
No comments:
Post a Comment