Patthar Ke Phool Dialogue Download
Aapne yeh toh suna hoga ki ghee tedhi ungli se nikalta hai ... magar shayad yeh nahi suna ki sach bandh mukke se nikalta hai
Khudkhushi karne ke liye insaan ka pagal hona bahut zaroori hai
Duniya mein har bimaari ka koi na koi ilaaj hai ... magar shaq ka koi ilaaj nahi
Yeh duniya rishto ke naam maangti hai
Maut se kya darna, usse toh aana hai ... do din ki hai zindagi, hum mein apna farz nibhana hai
Mujrim nishaano ka nishaana ban jaata hai ... ya de jaata hai, ya le jaata hai
Sachchai woh diya hai, jisse agar pahad par jala do ... toh roshni toh bahut kam door tak karta hai ... magar dikhta bahut door se hai
Insaan ki majboori ... ussoolon ke zanjeeron ko kachche dhaago ki tarah todh deti hai
Duniya mein koi bhi ussool itna mazboot nahi hota ... jisse pareshaani, takleef aur bhook todh nahi sakti
Yahan tum hukum dene nahi ... lene aaye ho
Aadmi pahad se girkar toh uth sakta hai ... magar apni nazaron se girkar nahi
Joh kachche dhaago ki tarah toot jaaye ... woh ussool nahi, kamzor iraadein hote hai
No comments:
Post a Comment