Once Upon A Time In Mumbaai Dobara Dialogue Download

Peene ki capacity, jeene ki strength, account ka balance aur naam ka khauf ... kabhi bhi kam nahi hona chahiye
Hero marne ke baad swarg jaata hai ... aur villian jeete ji swarg paata hai
Agar main hero ban gaya ... toh meri pehchaan bura maan jayegi
Mujhe achcha banne ka koi shaunk nahi hai ... suna hai upar waala achche logon ko bahut jald apne paas bula leta hai
Mohabbat woh mohra hai jiski wajah se bade badhon ko maat mili hai
In award ki keemat sirf ek saal ki hoti hai ... par duayein hamesha saath deti hai ... is liye kehna chahongi, bus dua mein yaad rakhna
Khiladi tha ... ab pura khel hoon
Chaubees ghante ka time hai ... khud nahi aayi toh is Ravan se bachane ke liye koi Ram nahi aane waala
Hero kya hota hai? ... pyar ke liye ladne waala, dosti ke liye marne waala ... kismat se fakeer par himmat se bhara hua ... sharif aadmi
Ladki jab roti hai na bahut saare reasons hote hai ... par jab ladka rota hai ... reason ladki hi hoti hai
Dafan toh sabne hona hai ek din ... jeete ji dab gaya toh jeena mitti hai
Apni dosti tire aur tube jaisi hai ... hawa teri nikalti hai aur bahet main jaata hoon
Pyar mein marne ke liye tayyar ho jao
Kisi ki itni baddua bhi mat lo ... ke log duaon mein tumhari maut maange
Apne dhande ki ek saying hai ... jahan teen ka tikda, wahan kaam bhigda
Mehnat se sirf ghar bante hai ... sapno ke mahal nahi
Maan gaya toh thik hai ... varna galat kaam toh main bachpan se karte aa raha hoon
Naam apna bada na ho ... par humne kaam kabhi chote nahi kiye hai
Mera naam hi kaafi hai ... logon ke pasine chhudane ke liye
Aadmi toh auraton ke hote hai ... mujhe mard chahiye, mard
Naam bata diya ... toh pehchaan bura maan jayegi
Aaj kal pyar na naukrani jaisa ho gaya hai ... aata hai, bell bhajata hai, kaam karta hai aur chala jaata hai
Bachpan se aaj tak is shehar ne har haq diya ... lekin dekho baat pyar ki aayi toh sautela kar diya
Is shehar ke shahenshah log mahalo mein rehte hai ... par is jungle ko chalane ke liye joh sher chahiye woh sadako par hi pehda hote hai
Main ek baar dhande ke paise chhod sakta hoon ... par jeet ka maal nahi
Aam aadmi aam hi ki tarah hote hai ... koi unhe choos leta hai toh phir koi unhe kaat deta hai
Galati karne waalo ke liye Shoaib sirf ek hi raasta chhodta hai ... upar ka
Insaan ki zindagi par shak hota hai ... bus wahi nahi milta jispar hamara haq hota hai
Jinki kismat chamakni hoti hai ... wohi meri nazar mein aa jaate hai
Doodh mein nimbu jisne daala ... paneer uska
Seedhe toh aaj kal sadhu nahi chalte ... main toh phir shaitan hoon
Tum woh mannat ho ... joh minnatein karke poori hoti hai
Subah ki pehli local se leke raat ki aakhri botal tak ... har aadmi ki zubaan par sirf ek hi naam hona chahiye
Ravan Ram Ram nahi karte ... seedha Sita ko utha lete hai
Logon ko jahan attack aata hai ... apne ko wahan pyar aa gaya hai
Ab agar kisi ne tumhe mujhse cheen liya ... toh mera guroor haar jayega
Yeh dhyan rakhna ... jiske kadmo mein duniya rakhna chahte ho ... kahin aaisa na ho ki uski duniya hi alag ho
Apno se jeetkar bhi haar hi milti hai
Tujhe chaand de diya toh baki sab Eid kaise manayenge ... aur taare dilwa diye toh chaand akela padh jayega na
Tu apna bachcha hai ... tere maatam pe ek peg extra lagaonga ... lekin saale tujhe maaroonga zaroor
Tevar na dikhao toh log aankhen dikhane lagte hai
Jitne mere khilaf khade huye hai ... woh saale kabr mein pair failake lete huye hai
Tumne mujhe bahut kuch diya aur mera sab kuch cheen liya ... khushiya di lekin baatne waale nahi, tofhe diye lekin taarif karne waale nahi ... aasman par bhithakar meri zameen cheen li tumne
Sooch ke bolonga toh baat bura maan jayegi
Jab mila tha tu mere ghutne tak aata tha ... aaj tujhe tere ghutno pe lana hoga
Baaziyan palat jaati hai jab insaan palatte hai
Mujhe yaad kiye bina toh achche logon ki misaal nahi di jaati
Machar jiska khoon peeta hai ... saala marta bhi us hi ke haathon hai
Pyar ke joh kisse hote hai ... bahut kam logon ke hisse hote hai
Duniya mein do tarah ke mard hote hai ... ek joh kabhi mauke par saath nahi dete ... aur ek joh mauka dhoondte rehte hai
Sitaro ke tootne se aasman ko koi farak nahi padta
Agar isko kuch hua na ... toh tera postmortem pakka
Rishtey jazbaato se bante hai ... zabardasti se nahi
Aadmi ki zindagi ko swarg aurat banati hai ... aur aadmi ko swargwasi bhi aurat
Dushman jab haath se nikal jaata hai na ... toh poori raat chudiyon ki awaaz sunai deti hai
Sachche dost aasoon ki tarah hote hai ... yahan dil udaas hua ... wahan woh aa gaye
Joh tumhare raaste pe chalta hai ... wohi tumhara raasta kaatne ki koshish karta hai
Pyar mein aadmi cricketer jaisa hota hai ... dil out ho jaata hai dimaag appeal karta rehta hai
Ab iske alava aur kuch utaarke phekne ko mat kehna ... varna meri sharafat bura maan jayegi
Keemat thik lagi ho ... toh sabse pehle sapne hi bikte hai
Jaan se zyada yahan zubaan ki keemat hoti hai
Khuda itni zehmat kar ... ke bandhe thodi rehmat kar
Andhar ki baat bolni ho ... toh bahar se sahi lagna chahiye
Yeh zubaan ki chupi ... pyar ki puppy lene hi nahi degi
Pyar bhaut badi googly hoti hai ... mil jaye toh badam varna saali moongphali bhi nahi hoti hai
Pyar mein aadmi cutting chai jaisa hota hai ... na pyaas bhujti hai na mann bharta hai
Jitne tune rozze nahi dekhe na ... usse zyada chaand raatein dekhi hai maine
Dimaag jhoot par chal sakta hai ... par dil nahi
Koi kaam aadmi achcha kare toh saale ke liye champagne kholo ... bura toh uski khopdi
Pyar mein aadmi double jeeta hai ... jab poori duniya soyi rehti hai tab bhi woh jaage rehta hai ... ho gaya na double
Aathana dalke do kaudi ki dhamki toh koi bhi de sakta
Main tujhe marra hua dekh sakta hoon ... lekin kabhi shak se nahi dekh sakta
Laal batti se mera bada purana rishta hai ... hamesha mere peeche rahi hai ... aaj aage hai
Kaam bhale hi main gande karta hoon ... par saaf sutre rehne ki gandi aadat hai mujhe
Aadmi ki achchai dab sakti hai ... marr nahi sakti
Yeh Bambai hai ... aur yahan sapne us hi ke poore hote hai ... jinki aankhen khuli rehti hai
Main ek din mein do galat kaam nahi karta
Kehte hai ki mera dimaag museum mein rakhne layak hai
Yeh Bambai bhale hi Kumkum se Kimi Katkar ho gayi hai ... par aaj bhi aankhen bandh karke tumhe aadhi Bambai ghuma sakta hoon
Lagta hai bhagwan ne saara maal pani aankhon mein de rakha hai ... upar dena bhool gaya hai
Bahut dino baad Bambai ne mujhe apni baahon mein bulaya hai ... ab dekhna yeh hai ke woh gale lagati hai ... yah phir gala kaatti hai
Aankhen dil ka pata batati hai
Sharif khaye daal roti aur kamina seekh boti
Tumhari manzil zameen nahi ... aasman hai
Yeh pyar ke pange hai ... is mein pyar se kuch nahi hota
Himmat ko aage badhne ke liye pairo ki zaroorat nahi hoti
Meter kitna bhi tezz bhaag le ... taxi se aage nahi bhaag sakta
Joh de saath ... uske raho khaas
Candle ki roshni mein teri aankhen aaisi lag rahi hai jaise ... police jeep ki headlight
You give dhyan ... I give gyan
Tujhe seekhne mein do janam lagenge ... mera paas ek hi hai
Yeh aankhen nahi khatarnak ghat hai ... ek taraf khai hai, ek taraf pahad ... kahin phisal na jaana
Jahan mile dost ko jughaad ... dosti ho gayi kabaad
Burai se mooh modh lena aasaan hai ... peecha chhudana nahi
Bambai chalti do cheezon par hai ... ek luck, doosri local
Na kisi ne lori gaakar sulaya hai ... na kisi ne maatha chumkar uthaya hai
Ab agar daan kiya ... toh dhanda bura maan jayega
Agar do din ki zindagi bhi aaisi ho jaye ... toh teesre din marna manzoor hai
Yeh Bambai hai ... yahan bolneka thank le aur vatak le

No comments:

Post a Comment