Once Upon A Time In Mumbaai Dialogue Download
Main un cheezon ki smuggling karta hoon, jinki ijaazat sarkar nahi deti ... un cheezon ki nahi, jinki ijaazat zameer nahi deta
Aadmi tabhi bada banta hai ... jab bade log usse milne ka intezaar kare
Dua mein yaad rakhna
Zindagi ho toh smuggler jaisi ... sari duniya raakh ki tarah neeche aur khud dhuen ke tarah upar
Raaste ki parwah karoonga toh ... manzil bura maan jayegi
Sher se hal chalaoge toh kisaan toh marega hi
Mushkil toh yeh hai ki main abhi theek tarah se bhigda bhi nahi ... aur tumne sudhaarna shuru kar diya
Jinki manzilein ek hoti hai ... woh raaston par hi toh milte hai
Joh bistar pe zabaan dete hai ... woh aksar badal jaate hai
Hamari tasveerein kheench ke apni dukaan mein laga lena ... kabhi zaroorat padhe, toh dono mein se ek bhagwan chun lena
Agar dhanda shanti se karna hai toh ... dhamake toh karne hi padenge
Joh apni maa ki izzat nahi karte ... main unka baap bankar aata hoon
Jab dost banake kaam ho sakta hai ... toh phir dushman kyun banaye?
Sooch lo, baat khatam karni hai ... ya kahani shuru
Jaise tu hua tha ... upar waale ki dua se, thodi mehnat se ... aur bahut sari lagan se
Yeh umar sudharne ki nahi ... bigharne ki hai
Himmat batai nahi ... dikhai jaati hai
Kashti leharon se takrayegi ... toh hi kinaare naseeb honge
Main har kaam paise ke liye nahi karta
Supari li hai toh chuna nahi lagaunga
Main apne kaam karne ka tareeka badal raha hoon ... tevar nahi
Jurm ke raaste kitne bhi makhmali kyun na hoon ... khatam toh jail ke kambal mein hi hote hai
Joh apne beete huye kal se bhaagta hai ... woh zindagi ki race kabhi nahi jeetta
Aaj ka kaam kal par chhodonga ... toh aaj bura maan jayega
Chaukiyan chahe police ki ho ... shehar ke commissioner to hum hi log hai
Tumhari baat ka jawaab de diya ... toh tumhara sawaal bura maan jayega
Agar kisi cheez ki lat padh jaye ... toh woh lat aadmi ki pehchaan ban jaati hai
Waqt bhi kahan badalta hai ... sirf guzarta hai
Aadmi halaat bighadane ke liye burre kaam nahi karta ... halaat sudhaarne ke liye karta hai
Koi bhi dhanda aadmi ki himmat se bada nahi hota
Gufaa mein andhera kitna hi ho ... kinaare pe roshni zaroor hoti hai
Isse zindagi se zyada apni jeet pyari hai
Ab dekhna yeh hai ki aankh milake baat karta hai ... ya peet peeche vaar
Insaan ki dukhti rug uski har taqat se badhkar hoti hai
Is khel mein joh power hai na ... uska nasha hi alag hai
Garam joshi achchi cheez hai ... lekin agar hadh se badh jaye toh khud ko jaala deti hai
Aaj ke baad tu sirf wohi bolega ... joh main sunna chahta hoon
Gaadi chahe kitni bhi tezz ho ... usse rokne ke liye ek keel kafi hai
Desh se wafaadari kisi ek shaksh se gaddari se kahin zyada badhkar hoti hai
No comments:
Post a Comment