Nastik Dialogue Download

Seedhi sachi baatein karne ke liye kaleja chahiye
Jahan sher ki hukumat chalti hai ... wahan chote mote janwaro ka aana jaana mana hai
Main teri maut itni kharaab kar doonga ... ki tujhe dekh kar maut ka farishta bhi kaanp uthe
Zabaan agar meethi ho toh apno ka bhi kaam ho jata hai ... aur doosron ka bhi
Daulat se bistar khareeda jah sakta hai, neend nahi ... aurat khareedi jah sakti hai, pyar nahi ... jhoot kareeda jah sakta hai, sachchai nahi
Jeena usse kehte hai ... jisse kisi doosre ko zindagi mile
Gunaah karne ke baad ... aadmi chota aur gunaah ka saaya lamba hota jaata hai
Bhagwan jisse kisi kaam ke liye pehda nahi karta na ... usse seth bana deta hai
Is dil ne itne dukh uthaye hai ... ki sukh dokha lagta hai
Main toh us andhere ghar ka chirag hoon ... jahan dil bhi jalao toh roshni nahi ho sakti
Naseeb insaan ka banta hai thokarein khane ke baad ... aur rang lati hai henna patthar pe pis jaane ke baad
Yeh shehar ab jungle ban gaye hai ... yahan din ko insaan aur raat ko shaitaan ghumte hai
Shankar patthar ko nahi dil ko poojhta hai ... aur dil kabhi patthar ka nahi hota
Joh sher bhagwan se nahi darta ... woh bhagwan ke kutto se kya darega
Bhakti se bhadkar koi shakti nahi
Aaj ki tarikh mere hi khoon se likhi jani chahiye
Main soote huye pe vaar nahi karta
Ganga tann ka paap dhoti hai ... aur paschatap ke aasoon mann ka paap dhote hai
Main gadi chalata hoon, zabaan chalata hoon, haath chalata hoon ... aur zaroorat padhe toh bandook bhi chala sakta hoon
Main ginta nahi, cheenta hoon ... ginne waale kamzor hote hai
Aaj ke baad tu hi nahi ... uski maut bhi usse talash karegi
Mujrim ke paon hote hai ... zabaan nahi
Paap ka bhoj uthaoge ... toh sar jhukake jeena padega
Main aag se khelta hoon ... raakh jhatak deta hoon
Main maangta nahi ... cheenta hoon!

No comments:

Post a Comment