Mughal-E-Azam Dialogue Download
Taqdeerein badal jaati hai, zamana badal jaata hai, mulkon ki tarikh badal jaati hai, Shahenshah badal jaate hai ... magar is badalti hui duniya mein mohabbat jis insaan ka daaman thaam leti hai ... woh insaan nahi badalta
Phool toh murjha jaate hain ... lekin kaante daaman thaam lete hain
Salim tujhe marne nahi dega ... aur hum Anarkali tujhe jeene nahi denge
Duniya mein dilwale ka saath dena ... daulat waale ka nahi
Kaaton ko murjhane ka khauf nahin hota
Mohabbat humne maana zindagi barbad kar deti hai ... yeh kya kam hai ki marr jaane pe duniya yaad karti hai
Main tumhari aankhon mein apni mohabbat ka ikraar dekhna chahta hoon
Hamara Hindustan koi tumhara dil nahi ... ki laundi jiski Malika bane
Mera dil bhi apka koi Hindustan nahi ... jispar aap hukumat kare
Mera jism zaroor zakhmi hai ... lekin meri himmat zakhmi nahi
Rajput jaan harta hai ... vachan nahi harta
Taj un saron par nahin rehta jinke kareeb khauf aa jaye
Tahkhane ke bhaari darwaaze talwaron se nahi taqdeeron se khula karte hai
Mohabbat joh darti ho woh mohabbat nahin ... ayyashi hai, gunaah hai
Meri aankhon se mere khwab na cheeniye Shehzaade ... main marr jaongi
Mohabbat karne waalo ka bas itna hi hai afsana ... tadapna chupke chupke, aah bharna, ghutke
marr jana
No comments:
Post a Comment